Monday, February 12, 2007

Maa shayari




Ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di


yaad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
har bar rone par tu hi mujhe hasati thi


Achi neend ke liye naajane kaha kaha
se nayi loria aur kahaniya lati thi,
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din
jab haatho se apne khana khilati thi


Teri ungli pakad ke maine chalna sikha,
teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
bhagwan khud na aa ska is liye
shayad tujhe mere liye bhej diya,


nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
aaj fer teri god mein sone ko dil kare,
tere hatho se khane ko dil bekrar hai


Yad aa gaye woh sunhere din,
dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko,
bachpan lot ke to aa nhi sakta,


tujhe kitna chata hu maa
tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
mera har saans tera ehsan hai..
jab chahe ise le lena,
chod ke na jana kabii chahe
meri sanse bhi mujhse le lena



Wo mare badsalooki mai bi mujhy dua dati hai.
Aghosh mai le kr sb ghum bhula date hai.


Yun lagta hai jaisy jannat sy a rahe ho khushbo.
Jb wo apny palu sy mujhy hawa dati hai.


Mai agar kroon anjany mai koi ghalte.
Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai.


Kya khub bnaya hai rab ny rishta ‘Maa’ ka.
Weeran ghar ko b jannat bna dati hai


‘Maa’ ke bad mera kon sahara hai.
Ye he soch mujhy kbe kabi rula dati hai…




Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi


khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi


Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gheray bhedon ko
main samjhi teri batoon se


Mein teree yaad kai takia per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi rooti hoon


Share with us more …Maa shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment