Friday, February 23, 2007

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak – Anees Ansari



Tumhare gham ka mausam hai abhi tak
lab-e-tashna pe shabanam hai abhi tak


safar mein aabale hi aabale the
magar pairon mein dam-kham hai abhi tak


tumhare band dar mujh se khafa hain
mere jine ka matam hai abhi tak


teri aab-o-hava ras aa gai thi
bichad jane ka kuch gham hai abhi tak


gai rut mein hui thi fasl achi
idhar panii gira kam hai abhi tak


main khud ko dhundhata phirta hun sab mein
junun ka ik aalam hai abhi tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anees Ansari



No comments:

Post a Comment