Friday, February 23, 2007

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi



gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi
neend ka halka gulabi-sa khumar aankhon mein tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahi
har taraf divar-o-dar aur un mein aankhon ka hujum
kah sake jo dil ki halat wo lab-e-goya nahi
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katata hun zindagi bhar main ne jo boya nahi
janata hun ek aise shakhs ko main bhi ‘munir’
gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Munir Niazi



No comments:

Post a Comment