Wednesday, February 28, 2007

Range hina poetry



‘Na Koi Rang Na Hathon Pe Hina Mere Baad”


Wo Mukamal He Siah_Posh Hua Mere Baad”


Le K Jata Rha Hr Sham Wo Phool Ar Charagh”


Bs Yehi Us Ne Kia Jitna Jia Mere Baad”


Roz Ja Kr Wo Samundar K Kinaray Chup Chaap”


Nao Kaghaz Ki Bahata He Rha Mere Baad”


Us K Honton Se Mera Naam Nikal Jata Tha”


Jis Ne Apnaya Usay Chor Dia Mere Baad”


iK Parinda Jo Bulata Tha Usay Meri Tarah”


Wo Parinda B Tu Qafs Me Na Rha Mere Baad”


Me Ne Girnay Na Diye Thay Kabi Ansu Us K”


Shaid Is Wastay Wo Ro Na Saka Mere Baad”


Me B Wesa Na Rha Us K Bichar Janay Se”


k0! uS k0 B pEhchAn nA sAkA mErE bAad”‘





Zabt-E-Aah Meri Teri Rang-E-Hina Ho Jaye
Tumahari Chah Mein Ab Zaan Bhee Fanaa Ho Jaye

Hawaadis Meri Jindagi Jayen To Kahaan Jayen
Ulfat-E-Gum Mein Dil-E-Duniya Tabaah Ho Jaye


Ek Aakhiri Ummeed Yahi Hai Mere Dil Ki
Tumhare Rukh Pe Bass Ek Nigaah Ho Jaye


Main Rahun Na Rahun Ishq Mera Mukammal To Rahe
Deewana-E-Dil Mera Tadveer Wafa Ho Jaye


Dariya-E-Mai Hi Meri Khwahish Mein Raha Taaumr
Kyaa Kare Koi Jab Majbur-E-Zaan Ho Jaye


Maza Nahin Hai Koi Ahal-E-Jahaan Mein Jeene Ka
Agar Na Koi Bhee Ishq-E-Gunaah Ho Jaye


Zosh-E-Baadah Rahega Mere Dil Ke Kareeb
Wagarna Unki Bhee Kuchh Humpe Nigaah Ho Jaye




Share with us more Range hina poetry in Comments Section below.



No comments:

Post a Comment