Friday, February 9, 2007

Angadai bhi wo lene na paye utha ki hath – Nizam Rampuri



angadai bhi wo lene na paye utha ki hath
dekha mujhe to chod diye muskura ki hath
besakhta nigahen jo aapas mein mil gain
kya muh pe us ne rakh liye aankhen chura ki hath
wo zanuon pe sina chupana simat ki hay
aur phir sambhalana wo dupatta chuda ki hath
dena wo us ka sagar-e-may yaad hai “nizam”
muh pher ko udhar ko idhar ko badha ki hath
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nizam Rampuri



No comments:

Post a Comment