Saturday, August 4, 2007

Kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se – Ahmed Faraz



Kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yun kiya hai to phir q gila karo us se
ye ahl-e-baz tunak hausla sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se
ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se
nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil mein hon wohi baten kiya karo us se
‘faraz’ tark-e-ta’alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment