Saturday, August 4, 2007

Apne khvabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga – Abbas Dana



apne khvabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
aankh khulate hi tujhe dhundhane nikala hoga
zindagi sirf tere naam se mansub rahe
jane kitne hi dimagon ne ye socha hoga
dost hum us ko hi paigam-e-karam samajhenge
teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
daman-e-zist mein ab kuch bhi nahi hai baqi
maut aayi to yaqinan
use dhoka hoga
roshni jis se utar aayi lahu mein mere
ae masiha wo mera zakhm-e-tamanna hoga


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Abbas Dana



No comments:

Post a Comment