Tuesday, March 29, 2016

Wo firaq aur wo visal kahan – Mirza Ghalib



Wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi wo ik shakhs ke tasavvur se
ab wo rannai-e-khayal kahan
aisa aasan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hum se chuta qimarkhana-e-ishq
van jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-duniya mein sar khapata hun
main kahan aur ye vabal kahan
muzamahil ho gaye quva ‘ghalib’
wo anasir mein aitadal kahan


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment