^Kahne ki bat ho to use kah sunayiye.
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye.
dunya ki ho hawas to dil-o-din ginwayiye.
yan khoyiye bahut-sa to kuch jak payiye.
ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam.
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye.
gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho.
ham jan hi se baithe hain bezar jayiye.
aur aitabar khote hi apna raha-saha.
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye.
hoti hujum-e-gam mein hai, kyonzahar ki talash.
‘Hali’ batayen ap ko, gar kuch khilayiye
^Haq wafa ka jo ham jatane lage,
ap kuch kah k muskurane lage,
ham ko jina parega furqat mein,
wo agar himmat azmane lage,
dar hai meri zuban na khul jaye,
ab wo baten bahut banane lage,
jan bachti nazar nahin ati,
gair ulfat bahut jatane lage,
tum ko karna parega uzr-e-jafa,
ham agar dard-e-dil sunane lage, bahut mushkil hai shewa-e-taslim,
ham bhi akhir ko ji churane lage,
waqt-e-rukhsat tha sakht “Hali” par,
ham bhi baithe the jab wo jane lage..
Share with us more Altaf hussain shayari in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment