Wednesday, March 9, 2016

Haye wo vaqt-e-judai ke tumhare aansu – Hakim Nasir



haye wo vaqt-e-judai ke tumhare aansu
gir ke daman pe bane the jo sitare aansu
lal-o-gauhar ke khazane hain ye sare aansu
koi aankhon se chura le na tumhare aansu
teri aankhon mein agar hon to sitare aansu
meri aankhon mein agar hon to bechare aansu
in ko ‘nasir’ na kabhi aankh se girane dena
un ko lagate hain meri aankh mein pyare aansu


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hakim Nasir



No comments:

Post a Comment