Sunday, March 13, 2016

Jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain – Dilawar Figaar



jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain
mar ke rah jata hai fanakar amar hone tak
kitne galib the jo paida huye aur mar bhi gaye
qadradann ko takhallus ki khabar hone tak
kitne iqabal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhool gaye khatm-e-safar hone tak
kitne shabbir hasan khan na bane josh kabhi
mar gaye kitne sikander bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashar mein aa sakata tha
ungaliyan sath to den khoon mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziya-e-khurshid
chand tare hi chamakate hain sahar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarati hai ‘figar’
jo kisi qatre pe guzri hai guhar hone tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Dilawar Figaar



No comments:

Post a Comment