Tuesday, February 2, 2016

Wo gulfarosh kahan ab gulab kis se lun – Anwar Shaoor



Wo gulfarosh kahan ab gulab kis se lun
nahi raha mera saqi sharab kis se lun
teri talash mein is umr-e-mustu’ar ke saal
jo rayegan gaye un ka hisab kis se lun
hayat khud hai saval aur khud javab apna
saval kis se karun main javab kis se lun
kisi ke naam jo mansub abhi nahi ke thi
main apni khoi hui wo kitab kis se lun
tumhare bad na dekhun tumhare jaison ko
to ye shabin ye umangen ye khwab kis se lun
nashakashi se bi le lun ‘shaoor’ aj magar
wo roz-e-abr-o-shab-e-mahatab kis se lun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anwar Shaoor



No comments:

Post a Comment