Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi,
Maine Maana Ke Bahut Husn-E-Mujassim Hongi
Muqabla Kab Teri Shrafat Ka Wo Kar Payengi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi,
Mujassim Emboid Avtaar
Itni Lazzat Se Hum Kisse Wahaan Ruthenge?
Itni Nazakat Se Wahaan Kaun Hume Manayegi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahu Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
Kaun Hoga Jo Mere Naaz Apne Sir Utthayega
Kaun Hogi Jo Mujhpe Bijliyaan Girayegi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
Kaun Honge Jo Mere Dard Samajh Payenge
Kaun Hogi Jo Meri Khamoshi Samajh Jayegi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
Kaun Mere Gum Me Mujhe Tujh-Sa Sahara Dega
Kisski Ulfat Meri In Saanson Ko Mahekyegi
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
Karan’ Kehta Hai Wahaan Per Haseen Bahut Honge
Kaun Si Hoor Mere Mehbub Sa Sharmayegi
Mere Mehbub Se Badhker Bhee Khub Ho To Kya
Mere Mehbub Sa Wo Dil Kahaan Se Layengi,
Mere Mehbub Teri Baahen Bahut Yaad Aayengi
Meri Taqdeer Jab Jannat Mujhe Le Jayegi
No comments:
Post a Comment