Sunday, February 21, 2016

Raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya- Faiz Ahmed Faiz



Raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
dil bahot kuch jala ke dekh liya
aur kya dekhane ko baqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
wo mere hoke bhi mere na hue
unko apna bana ke dekh liya
aj unaki nazar mein kuch hum ne
sabaki nazaren bacha ke dekh liya
‘faiz’, taqmil-e-gam bhi ho na saki
ishq ko aazama ke dekh liya
the following sher is found in earlier editions of naqshe-fariyadi
aas us dar se tutati hi nahi
ja ke dekha, na ja ke dekh liya


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment