Tera hi bahr safina ravan bhi tera hai
bhanvar bhi tere hain aur badban bhi tera hai
hai teri bazm mein aakhir kahan jagah meri
charag bhi hain tere aur dhuan bhi tera hai
mujhe to nazr bhi karne ko kuch nahi apna
jabin ke khak teri aastan bhi tera hai
naqush-e-pa ko uthaye kahan khan jaun
ki gard-e-rah bhi teri karavan bhi tera hai
bas ek kashakash-e-benam aur main bebas
natija bhi hai tera imtahan bhi tera hai
main thak ke baith rahun ya qadam badhaye chalun
fana bhi teri hai nam-o-nishan bhi tera hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam
No comments:
Post a Comment