gai wo bat ki ho guftagu to kyonkar ho
kahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho
hamare zahan mein is fikr ka hai naam visal
ki gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho
adab hai aur yahi kashamakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyonkar ho
tumhin kaho ki guzra sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho
uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein ho ek do to kyonkar ho
jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
wo shakhs din na kahe raat ko to kyonkar ho
hamen phir un se umid aur unhen hamari qadr
hamari bat hi puche na wo to kyonkar ho
galat na tha hamen khat par guman tasalli ka
na mane dida-e-didar ju to kyonkar ho
batao us misha ko dekhakar ho mujh ko qarar
yah nesh ho rag-e-jan mein faro to kyonkar ho
mujhe junun nahi galib wale baqaul-e-huzur
firaq-e-yar mein taskin ho to kyonkar ho
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment