Wo sava yaad aaye bhulane ke bad
zindagi badh gai zeher khane ke bad
dil sulagata raha aashiyane ke bad
aag thandi hui ik zamane ke bad
roshni ke liye ghar jalana pada
kaisi zulmat badhi tere jane ke bad
jab na kuch ban pada arz-e-gam ka javab
wo khafa ho gaye muskurane ke bad
dushmanon se pasheman hona pada hai
doston ka khulus aazamane ke bad
bakhsh de ya rab ahal-e-havas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tum ko pane ke bad
kaise kaise gile yaad aaye ‘khumar’
un ke aane se qabl un ke jane ke bad
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi
No comments:
Post a Comment