Sunday, November 30, 2014

Dil ko gam-e-hayat gavara hai in dinon – Qateel Shifai



Dil ko gam-e-hayat gavara hai in dinon
pahale jo dard tha wohi chara hai in dinon


ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal
dariya ke mauj-mauj kinara hai in dinon
shamon mein ab nahi hai wo pahale si roshani
shayad wo chand anjumanara hai in dinon
tum aa sako to shab ko badha dun kuch aur bhi
apne kahe mein subah ka tara hai in dinon
qurban hon jis ke husn pe sau jannaten ‘qateel’
nazron ke samane wo nazara hai in dinon


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment