Friday, November 21, 2014

Tadapate hain na rote hain na hum fariyad karte hain – Haider Ali Aatish



Tadapate hain na rote hain na hum fariyad karte hain
sanam ke yaad mein har-dam khuda ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein hum nala-o-fariyad karte hain
ilahi dekhiye kis din hamen wo yaad karte hain


shab-e-furqat mein kya kya sanp laharate hain sine par
tumhari kakul-e-pechan ko jab hum yaad karte hain


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Haider Ali Aatish



No comments:

Post a Comment