Sunday, November 2, 2014

Mere Aangan Mein Raushnee Hogi



Khatm Ik Din Ye Teeragii Hogi
Mere Aangan Mein Raushnee Hogi


Bewafayi Ka Kab Iraada Tha
Zeest Majboor Ho Gayi Hogi


Jab Kabhii Us Ka Saamna Hoga
Woh Qayaamat Ki Hii Gharii Hogi


Meri Raahon Pe Ehtiaat Se Chal
Koi Khwahish Mari Parii Hogi


Aap Aansoo Samajh Rahay Hen Jise
Koi Hasrat Tapak Rahii Hogi


Waqt-E-Rukhsat Mujhe Bhi Ghum Hoga
Teri Aankhon Mein Bhi Nami Hogi


Dheere Dheere Mujhe Bhula Do Ge
Phir Tarap Bhi Kabhii Kabhii Hogi


Zindagi Darbadar Thi Pehle Hi
Phir Safar Per Nikal Parii Hogi


Haal Anmol Ka Batayen Kya
Baithi Qismat Ko Ro Rahii Hogi



No comments:

Post a Comment