Thursday, December 26, 2013

Mohabbat ke duniya main mashoor kar doon



Sad-Love-Wallpapers-Free


Mohabbat ke duniya main mashoor kar doon


Mere sada dill tujh ko maghroor kar doon,



Tary dill ko milney ke khud aarzuu ho


Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,



Mujhe zindagi door rakhti hai tujh s


Jo tu paas ho to usey door kar doon,



Mohabbat ke iqraar s sharam kab tak


Kabhi saamna ho to majboor kar doon,



Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen


Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,



Tu agar samney ho to mein be’khudi mein


Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,



Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar


Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon.



No comments:

Post a Comment