Friday, December 20, 2013

Hijr ke shab hai aur ujala hai – Qateel Shifai



hijr ke shab hai aur ujala hai
kya tasavvur bhi lutane vala hai
gham to hai ain zindagi lekin
gamgusaron ne mar dala hai
ishq majabur-o-namurad sahi
phir bhi zalim ka bolbala hai
dekh kar barq ke pareshani
aashiyan khud hi phunk dala hai
kitne ashkon ko kitni aahon ko
ik tabassum mein us ne dhala hai
teri baton ko main ne ae waiz
ahatarama hansi mein tala hai
maut aaye to din phire shayad
zindagi ne to mar dala hai
sher nazmen shaguftagi masti
gham ka jo rup hai nirala hai
lagzishen muskurai hain kya kya
hosh ne jab mujhe sambhala hai
dam andhere mein ghut raha hai khumar
aur charon taraf ujala hai


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment