Sunday, December 22, 2013

Mauj-e-gul, mauj-e-saba, mauj-e-sahar lagti hai – Jan Nissar Akhtar



mauj-e-gul, mauj-e-saba, mauj-e-sahar lagti hai
sar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti hai
hum ne har gham sajdon e jalaye hain chirag
ab teri rahaguzar rahaguzar lagti hai
lamhe lamhe basi hai teri yadon ke mahak
aj ke raat to khushbu ka safar lagti hai
jal gaya apna nasheman to koi baat nahi
dekhana ye hai ki ab aag kidhar lagti hai
sari duniya mein garibon ka lahu bahata hai
har zamin mujhko mere khoon se tar lagti hai
vaqya shahar mein kal to koi aisa na hua
ye to “akhtar” ke daftar ke khabar lagti hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhtar



No comments:

Post a Comment