Monday, June 24, 2013

Tumhain Udaas Pata Hoon



Tumhain Udaas Pata Hoon Main Kai Din Sey
Na Jane Koun Sey Sadmey Utha Rahi Ho Tum
Wo Shokhiyaan, Wo Tabassum, Wo Qehqahey Na Rahey
Har Aik Cheez Ko Hasrat Sey Dekhti Ho Tum
Chupa Chupa K Khamoshi Main Apni Be-Chaini
Khud Apney Raaz Ki Tash’heer Ban Gaii Ho Tum

Meri Umeed Agar Mit Gaii Tu Mitne Do
Umeed Kya Hay? Bas Ik Paish-O Pas Hay Kuch Bhi Nahi
Meri Hayyat Ki Ghum-Giniyoon Ka Ghum Na Karo
Ghum-E Hayyat Ghum-E Yak-Nafas Hay, Kuch Bhi Nahi
Tum Apney Husn Ki Ra’naiyoon Pe Reh’m Karo
Wafa Faraib Hay, Tool-E Hawis Hay, Kuch Bhi Nahi!


Mujhe Tumhaarey Taghaful Sey Kyu Shikayat Ho
Meri Fana Merey Ehsaas Ka Taqaza Hay
Main Janta Hoon K Duniya Ka Khouf Hay Tum Ko
Mujhe Khab’r Hay Ye Duniya Ajeeb Duniya Hay
Yahan Hayyat K Pardey Main Mout Palti Hay
Shikast-E Saaz Ki Awaz Roh-E Naghma Hay


Mujhe Tumhaari Judaai Ka Koi Runj Nahi
Merey Khayyal Ki Duniya Main Merey Paas Ho Tum
Ye Tum Nay Theek Kaha Hay Tumhain Mila Na Karoon
Magar Mujhe Ye Bata Do K Kyu Udaas Ho Tum?
Khafa Na Hona Meri Jur’rat-E Takhatub Per
Tumhain Khab’r Hay Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum!!!
Mera Tu Kuch Bhi Nahi Hay, Main Ro K Jee Loon Ga
Magar Khuda K Leye Tum Aseer-E Ghum Na Raho!
Howa Hi Kya Hay Jo Zamane Nay Tum Ko Cheen Liya
Yahan Pe Koun Howa Hay Kisi Ka Socho Tu


Mujhe Kasam Hay Meri Dukh Bhari Jawaani Ki
Main Khush Hoon, Meri Mohabbat K Phool Thukra Do!
Main Apni Roh Ki Har Ik Khushi Mita Loon Ga
Magar Tumhaari Mussarrat Mita Nahi Sakta
Main Khud Ko Mout K Haathoon Main Sonp Sakta Hoon
Magar Ye Baar-E Masaib Utha Nahi Sakta
Tumhaare Ghum K Siwa Aur Bhi Tu Ghum Hain Mujhe
Nijaat Jin Sey Main Ik Lehza Bhi Pa Nahi Sakta!!!!!!


Ye Oonchey Oonchey Makanoon Ki Dev’riyoon K Taley
Har Aik Gaam Pe Bhookey Bikhariyoon Ki Sada
Har Aik Ghar Main Aflaas Aur Bhook Ka Shour
Har Aik Samt Ye Insaniyat Ki Aah-O Baka
Ye Karkhaanon Main Lohe Ka Shor-O Ghul Jin Main
Hay Daf’n Laakhoon Ghareeboon Ki Roh Ka Naghma
Ye Shahrahoon Pe Rangeen Sariyoon Ki Jhalak
Ye Jhonpriyoon Main Ghareeboon K Bekafan Laashey
Ye Maal Road Pe Caroon Ki Rail Pail Ka Shor
Ye Patriyoon Pe Ghareeboon K Zard Ro Bachey
Gali Gali Main Ye Biktey Howa Jawaan Chehrey
Haseen Aankhoon Main Afsurdagi Si Chaai Hoi


Ye Jang Aur Ye Merey Watan K Shokh Jawan
Khareedi Jaati Hain Uth’ti Jawaniyaan Jin Ki
Ye Baat Baat Pe Qanoon-O Zabtey Ki Girift
Ye Zillatain, Ye Ghulaami, Ye Door-E Majbori
Ye Ghum Bohat Hain Meri Zindagi Mitaane Ko
Udaas Reh K Merey Dill Ko Aur Runj Na Do!!!



No comments:

Post a Comment