Tuesday, June 18, 2013

Aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum – Akhtar ul Iman



aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum


aati nahi kaheen se dil-e-zinda ke sada
sune pade hain kucha-o-bazar ishq ke
hai shama-e-anjuman ka naya husn-e-jan gudaz
shayad nahi rahe wo patangon ke valvale
taza na rakh sakegi rivayat-e-dasht-o-dar
wo fitnasar gaye jinhen kanten aziz the


ab kuch nahi to nind se aankhen jalayen hum
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum


socha na tha ki aayega ye din bhi phir kabhi
ik bar hum mile hain zara muskura to lain
kya jane ab na ulfat-e-derina yad aaye
is husn-e-ikhtiyar pe aankhen jhuka to lain
barasa labon se phul teri umr ho daraz
sanbhale hue to hain par zara dagamaga to lain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



No comments:

Post a Comment