khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ke khabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jaise gulashan mein dabe paon bahar aati hai
patti patti ke liye leke nikhar aati hai
aur phir waqt wo aata hai ke har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-gubar aati hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah mahv-e-safar ho koi virane mein
aur raste mein kaheen koi khiyaban aa jaye
chand lamhon mein khiyaban ke guzar jane par
samane phir vohi duniya-e-biyaban aa jaye
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jagannath Azad
No comments:
Post a Comment