Tuesday, June 25, 2013

aamad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost – Mirza Ghalib



aamad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost


ae dil na’aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kon la sakata hai tab-e-jalva-e-didar-e-dost


khana viransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost


ishq mein bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun aakhir garche tha bimar-e-dost


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment