Saturday, June 1, 2013

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho – Bashir Badr



Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat navaz de magar uske bad sahar na ho
wo bada rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulane ke dua karun to dua mein meri asar na ho
mere bazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khvab hai chandani
na uthe sitaron ke palaki, abhi aahaton ka guzar na ho
ye gazal ki jaise hiran ke aankhon mein pichali raat ke chandani
na bujhe kharabe ke roshani, kabhi becharag ye ghar na ho
wo firaq ho ya visal ho, teri yaad mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kya, jo chirag ban ke jala na ho
kabhi dhup de, kabhi badaliyan, dil-o-jan se donon qubul hain
magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ke hawa na ho
kabhi din ke dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko choom ke
yun hi sath sath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho
mere pas mere habib aa zara aur dil ke qarib aa
tujhe dhadakanon mein basa lun main ke bichadane ka kabhi dar na ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment