Monday, April 29, 2013

Sochate aur jagate sanson ka ik dariya hun main – Athar Nafees



Sochate aur jagate sanson ka ik dariya hun main
apne gumgashta kinaron ke liye bahata hun main


jal gaya sara badan in mausamon ke aag mein
ek mausam ruh ka hai jis mein ab zinda hun main
mere honton ka tabassum de gaya dhokha tujhe
tune mujhko bag jana dekh le sehra hun main
dekhiye meri pazirai ko ab aata hai kon
lamha bhar ko waqt ke dahaliz par aaya hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees



No comments:

Post a Comment