Tuesday, April 9, 2013

Kare dariya na pul mismar mere – Mehshar Badayuni



Kare dariya na pul mismar mere
abhi kuch log hain us par mere


bahut din guzri ab dekh aaun ghar ko
kahenge kya dar-o-divar mere
waheen suraj ke nazaren thin ziyada
jahan the ped sayadar mere
wohi ye shahar hai to shahar valo
kahan hai kucha-o-bazar mere
tum apna hal-e-mahajuri sunao
mujhe to kha gaye aazar mere


jinhen samajha tha janparavar main ab tak
wo sab nikle kafan bardar mere


guzarate ja rahe hain din hawa se
rahen zinda salamat yar mere
daba jis se usi pathar mein dhal kar
bike chehare sar-e-bazar mere


daricha kya khula meri gazal ka
havayen le udi ashar mere


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mehshar Badayuni



No comments:

Post a Comment