Jaane ye kaun sa mausam hai
Na sardiyon ki dhoop hai
Na din yahan par kam hai
Na thand ka koi bhi roop hai
Na mitti ki khushbu hai
Na bheege yauvan mein hulchul
Na baadalon mein guftagu hai
Na chai pakodi ka hi koi pal
Dhoop bhi chilchilaati nahi
Na chaandni ka koi aalam
Na jharnon ki aarzoo kahin
Na ye chhuttiyon ka mausam
Sarson bhi nahi dikhte hain
Patang asma me ab tak na naacha hai
Naye patte bhi kahin na ugte hain
Na muskaraata koi bhi raasta hai
Jaane ye kaun sa mausam hai
Tum paas hokar bhi itne door ho
Har baat shuru hone se pehle khatm hai
Kaam ho na ho, masroof ho…
Share with us more Mosam par sayari in hindi in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment