Monday, April 15, 2013

Shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gaye – Momin Khan Momin



Shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gaye
khoye gaye hum aise ke agyar pa gaye
majalis mein us ne pan diya apne hath se
agyar sabz bakht the hum zeher kha gaye
gairon se ho wo pardanashin kyon na behijab
dam hay be-asar mere parda utha gaye
waiz ke zikr-e-mehar-e-qayamat ko kya kahun
aalam shab-e-vasl ke aankhon mein cha gaye
duniya hi se gaya main jo nahi naz se kaha
ab bhi guman-e-bad na gaye tere ya gaye
ae “momin” aap kab se hue banda-e-butan
bare hamare ??? mein hazarat bhi aa gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Momin Khan Momin



No comments:

Post a Comment