aaya tha ghar sanvarane ehasan kar gaya
barbadiyon ka aur bhi saman kar gaya
ab tak rahi us ke yaad meri zindagi ke sath
do char pal ke mujh se jo pehchan kar gaya
aankhon ne jis ke shauq mein raten sajai thin
khvabon ke anjuman wohi viran kar gaya
jhonka nasim-e-subah ka aaya to tha magar
gulshan ke har kali ko pareshan kar gaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Poet Unknown
No comments:
Post a Comment