Mujhey Darya Nahi Likhna,Mujhey Sehra Nahi Likhna
Tasallsul Se Safar Main Hoon, Mujhey Thehra Nahi Likhna
Purani Rabton Ki Raakh Ab Tak Dil Main Baqi Hai
Meri Jalti Hatheli Par Naya Wada Nahi Likhna
Ana Se Jeet Kar Usko Agar Jo Mainey Khoya Hai
Mera Noha Nahi Likhna Mera Naghma Nahi Likhna
Bisat-E-Zindagi Ki Aakhiri Sarhad Pe Khara Hoon
Mujhey Fateh Nahi Likhna Mujhey Mohra Nahi Likhna
Tumhari Aankh Main Agar Main Kabhi Chup Chaap Jal Jaow
Tum Apni Aankhon Main Laiken Mera Sadma Nahi Likhna
Gawahi Apnay Dil Se Lo Tumhara Dil Kiya Kehta Hai
Mujhey Jhoota Nahi Likhna Mujhey Sacha Nahi Likhna
May Uski Yaad May Gum Hoon Ke Apne Aap May Gum Hoon
Mujhey Mehfil Nahi Likhna Mujhey Tanha Nahi Likhna
May Apney Lafzoon Se Shohrat Tumhey De Jaonga Ik Din
Mujhey Mashhoor Na Karna Mera Charcha Nahi Likhna
Ye Na Ho Tum Kabhi Us Ko Mitaa Na Chahona Mittay
Mujhey Apna Samajh Lena Magar Apna Nahi Likhna
Meri Aankhon May Baatein Hay Magar Chehray Pe Gehri Chup
Meri Aankhein To Likh Dena Mera Chehra Nahi Likhna
Kahin Aisa Na Ho Meri Kasak Us Dil Main Reh Jaye
Mera Dukh Dard Likh Dena Magar Gehra Nahi Likhna
No comments:
Post a Comment