andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil-jale ko neend na aayi tamam shab
chamak chali gai thi sitaron ki subah tak
ki aasman se dida-barai tamam shab
jab main ne shuru qissa kiya aankhen khol din
yaqini thi mujh ko chashm-numai tamam shab
vaqt-e-siyah ne der mein kal yavari si ki
thi dushmanon se in ki ladai tamam shab
tare se teri palkon pe qatre the ashk ki
de rahe hain “meer” dikhai tamam shab
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
No comments:
Post a Comment