justaju khoye huon ke umr bhar karte rahe
chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe
raston ka ilm tha hum ko na simton ke khabar
shahar-e-namalum ke chahat magar karte rahe
hum ne khud se bhi chupaya aur sare shahar se
tere jane ke khabar dar-o-divar karte rahe
wo na aayega hamen malum tha us sham bhi
intazar us ka magar kuch soch kar karte rahe
aj aaya hai hamen bhi un udanon ka khayal
jin ko tere zaum mein be-bal-o-par karte rahe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment