har shamma bujhi rafta rafta har khwab luta dhire dhire
shisha na sahi pathar bhi na tha dil toot gaya dhire dhire
barason mein marasim banate hain lamhon mein bhala kya tutenge
tu mujh se bichadana chahe to divar utha dhire dhire
ehasas hua barbadi ka jab sare ghar mein dhul udi
aayi hai hamare aangan mein patajhar ke hawa dhire dhire
dil kaise jala kis waqt jala hum ko bhi pata aakhir mein chala
phaila hai dhuan chup ke chup ke sulagi hai chita dhire dhire
wo hath paraye ho bhi gaye ab dur ka rishta hai ‘qaiser’
aati hai meri tanhai mein khushbu-e-hina dhire dhire
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qaiser ul Jafri
No comments:
Post a Comment