Jahan Se Bhaaag Kar Khud Se Yaari Kar Baithe
Goya Poori Barbadi Ki Tyaari Kar Baithe
Mayusi Ki Raahon Par Dhhakela Tha Jisne
Khushiyun Me Apni Usse Hissedari Kar Baithe
Hasne Ka Sahara Ye Umr Hi Bachi Hai Hamari
Kamsin Si Umr Me Khuloos Se Pardadari Kar Baithe
Mahfil Me Unki Bulaya Tak Na Gaye The
Uspe Unke Sitamo Par Shayri Kar Baithe
Ghamzadon Se Kinara Karke Kaun Khush Nahi Hota
Unhe Tanha Dekh Kar Ghamo Se Haami Kar Baithe
Vo Baazi Jis Par Sab Logon Ki Aas Thi
Jeeti Usi Baazi Ko Jaankar Haari Kar Baithe
Pahunch Gaye Hum Jahan Muqarrar Unki Sunwai Thi
Unke Gunaho Me Bhaagedari Unke Saath Ki Khatir Kar Baithe
Is Kadar Karz-e-hsaas Me The Vo “Kaash“
Himaqaton Ko Hamari Pasand Vo Saari Kar Baithe…
No comments:
Post a Comment