Sunday, August 8, 2010

ik nigah k faiz se

kahin be kenar se rat jagey kahin zar nigar se khoab day
tera kia asol ha zindagi? mujhe kon is ka jawab dey
jo bicha sakon tery wastey jo saja sakon tery rasty
meri dastras men sitary rakh meri muthiyon ko gulab dey
ye jo khohishon ke parindey han inhen mosmon se garz nahi
ye urey ga apni moj men ise ab de k serab dey
tujhe cho lia to bharak uthy merey jismon jan men charag se
kabi yon b ho mery robaro k men nazar mila k ye keh sakon meri khoahishon ka hisab de
teri ik nigah k faiz se meri zeast harf mehk uthy
mear lafz lafz ho kehkshan mujhe aysi koi kitab dey

No comments:

Post a Comment