Saturday, August 21, 2010

Ay Kash Mujhe Likhna Ata



Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Keh Bhook Se Woh Bilakte Lub
Aur Nanne Pait Tarapte Jub
Phir Ro Ro Kar Woh Sojayein
Khwabon Mein Apne Kho Jayein
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Aik Maa Keh Phir Jazbat Ko Mein


Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Naam Aankhon Se Aik Rani Jo
Yun Rukhsat Ho, Dil Sehma Ho
Baba Ka Dil Muztarib Ho
Mayan Ki Soch Muntashir Ho
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Aik Beti Ki Faryad Ko Mein


Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Jub Sarkun Par Chalte Howe
Bint E Hawa Darte Howe
Yeh Soch Soch Keh Ho Nadim
Kiyun Ghorta Hy Ibn E Adam
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Behen Ke Esasat Ko Mein


Jo Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Jub Kash Mujhe Likhna Aye
Phir Manzar Yun Palta Khaye
Har Maa Ka Ghar Khush Hali Ho
Har Behen, Beti Matwali Ho
Phir Likhon Aise Halat Ko Mein
Diya Se Roshan  Khiyalat Ko Mein


Jo Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein..?



No comments:

Post a Comment