Monday, August 30, 2010

Kaheen to karavan-e-dard ke manzil thahar jaye – Faiz Ahmed Faiz



Kaheen to karavan-e-dard ke manzil thahar jaye
kinare aa lage umr-e-ravan ya dil thahar jaye
aman kaisi ki mauj-e-khun abhi sar se nahi guzri
guzar jaye to shayad bazu-e-qatil thahar jaye
koi dam badaban-e-kashti-e-sahaba ko tah rakho
zara thaharo gubar-e-khatir-e-mahafil thahar jaye
hamari khamoshi bas dil se lab tak ek vaqfa hai
ye tufan hai jo pal bhar bas lab-e-sahil thahar jaye
nigah-e-muntazir kab tak karegi aainabandi
kaheen to dasht-e-gam mein yar ka mahamil thahar jaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment