Tuesday, August 10, 2010

raton mein gar na ashk bahaun to kya karun- Murad Lucknawi



raton mein gar na ashk bahaun to kya karun
ik pal bhi us ko bhool na paun to kya karun
main ne suna hai un ko andhere nahi pasand
rahon mein ab main dil na jalaun to kya karun
tumhin kaho ki chod de jab zindagi bhi sath
phir maut ko gale na lagaun to kya karun
socha to tha ki chod dun us ke gali ‘murad’
lekin kaheen qarar na paun to kya karun


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam : Murad Lucknawi



No comments:

Post a Comment