Monday, August 23, 2010

Bharosa shayari



ham Ki Barish ne bhi us ka naksh dhoya nahi
Us ne mujhe kho diya main ne usay khoya nahi


Need ka halka Ghulabi sa khumaar aankho me tha
Yu laga jese woh shab ko de’r tak soya nahi


Janta Hoon aik aisay shakhs ko main bhi Zohaib
Gham se Pathar ho gaya lakin kabhi roya nahi



iska Gham Nahi Ki Tu Meri Na Ho Saki,
Meri Mohabbat Me Mera Sahara Na Ban Saki,
Gham To Iska Bhi Nahi Ki Sukoon Dil Ka Lut Gaya,
Gham To Iska Hai Ki Mohabbat Se Bharosa Hi Uth Gaya…



saaye ne jab dhoop ka jama pahan liya
hujoom darkhton ka fir saamne to kya
ahasas ki sakht dhoop me rooh tak jhulas gayee
aye abre baran jhoom ke ab barsa to kya
kar gaya mujhko juda mujhse hi woh napaq rooh
gar maseeha baad me fir aaya to kya
rounaqen sab jati rahi ek tere jane ke baad
aaina andhere me mujhko toone dikhlaya to kya


Share with us more Bharosa shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment