Saturday, August 7, 2010

Dil-o-dimag ko ro lunga aah kar lunga – Akhtar Shirani



Dil-o-dimag ko ro lunga aah kar lunga
tumhare ishq mein sab kuch tabah kar lunga
agar mujhe na milin tum tumhare sar ke qasam
main apni sari javani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kaheen jagah na mili
tere khayal hi ko sajdagah kar lunga


jo tum se kar diya maharum aasman ne mujhe
main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga


raqib se bhi milunga tumhare hukm pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga


tumhari yaad mein main kat dunga hashr ke din
tumhare hijr mein raten siyah kar lunga
harim-e-hazarat-e-salama ke simt jata hun
hua na zabt to chupke se aah kar lunga
ye naubahar ye abr-o-hava ye rang-e-sharab
chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga
kisi hasina ke masum ishq mein “akhtar”
javani kya hai main sab kuch tabah kar lunga


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani



No comments:

Post a Comment