jazb-e-kamil ko asar apana dikha dena tha
mere pehlu mein unhen la ke bitha dena tha
kuch to dena tha tere tagaful ka javab
ya khuda ban ke tujhe dil se bhula dena tha
tair-e-jan ke siva kis ko banate qasid
us sitamgar ko paigam-e-qaza dena tha
dard mohataj-e-dava ho ye sitam hai ya rab
jab diya tha to kuch is se bhi sava dena tha
wo jo bigade to khafa tum bhi hue kyon “hasrat”
pa-e-nakhuvat pe sar-e-shauq jhuka dena tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hasrat Mohani
No comments:
Post a Comment