Saturday, May 24, 2008

Dekh to dil ki jan se uthta hai – Meer Taqi Meer



Dekh to dil ki jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai
khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai
nala sar khenchata hai jab mera
shor ek aasman se uthta hai
ladati hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek aashob wan se uthta hai
sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch aashiyan se uthta hai
baithane kon de hai phir us ko
jo tere aastan se uthta hai
yun uthe aah us gali se hum
jaise koi jahan se uthta hai
ishq ik ‘meer’ bhari paththar hai
bojh kab natavan se uthta hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment