Saturday, May 17, 2008

Ek bekasi hai hijr ki maron ki sath sath



ek bekasi hai hijr ki maron ki sath sath
tuta hai mera dil bhi saharon ki sath sath
jee bhar ki dekhane bhi na paye the chup gaye
arman bhi hain udas nazaron ki sath sath
dil mein vafur-e-shauq ka tufan liye huye
khamosh jagata hun sitaron ki sath sath
itani to mahviyat ho tasavvur mein tere dost
khud ko bhi bhool jaun nazaron ki sath sath
“yahya” ye aag ishq ki phir bhi na bujh saki
hai dil mein ashk-e-gam bhi shararon ki sath sath


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Yahya Jasdanwalla



No comments:

Post a Comment