Sunday, March 2, 2008

Na gubar mein na gulab mein mujhe dekhana – Ada Jafri



Na gubar mein na gulab mein mujhe
dekhana
mere dard ke aab-o-tab mein mujhe
dekhana
kisi waqt sham malal mein mujhe sochana
kabhi apne dil ke kitab mein mujhe dekhana
kisi dhun mein tum bhi jo bastiyon ko tyag do
isi rah-e-khanakharab mein mujhe dekhana
kisi raat mah-o-najum se mujhe
puchana
kabhi apni chashm purab mein mujhe
dekhana
isi dil se ho kar guzar gaye kai karavan
ke hijraton ke zab mein mujhe
dekhana
main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun
nai dastan naye bab mein mujhe dekhana
mere khar khar saval mein mujhe dhundhana
mere geet mein mere khwab mein mujhe
dekhana
mere aansuon ne bujhai thi meri tashnagi
isi bargzida sahab mein mujhe
dekhana
wohi ik lamha did tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisab mein mujhe
dekhana
jo tadap tujhe kisi aaine mein na mil sake
to phir aaine ke javab mein mujhe
dekhana


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ada Jafri



No comments:

Post a Comment