Tuesday, August 7, 2007

Zaban sukhan ko sukhan bankapan ko tarasega – Nasir Kazmi



Zaban sukhan ko sukhan bankapan ko tarasega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarasega
naye pyale sahi tere daur mein saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarasega
mujhe to khair vatan chod ke aman na mili
vatan bhi mujh se garib-ul-vatan ko tarasega
unhin ke dam se farozan hain millaton ke charag
zamana sohabat-e-arabab-e-fan ko tarasega
badal sako to badal do ye bagban varana
ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarasega
hava-e-zulm yahi hai to dekhana ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarasega


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment