Ye kon aa gai dilruba mahaki mahaki
fiza mahaki mahaki hawa mahaki mahaki
wo aankhon mein kajal wo balon mein gajara
hatheli pe usake hina mahaki mahaki
khuda jane kis-kis ke ye jan legi
wo qatil ada wo saba mahaki mahaki
savere savere mere ghar pe aayi
ae ‘hasrat’ wo bad-e-saba mahaki mahaki
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri
No comments:
Post a Comment